Gamle me lage vruksh ki ajeeb majboori hai
Hara bhi rehna
Lekin hadd me bhi rehna hai
Lekin vahi vruksha kisi ghar ko hara bhara kar deta hai
Khush hai ki use maalik ka pyaar milta hai
Maayoos kabhi agar hota hoga wo apni majboori se
To jhat se muskura deta hoga wo ye soch kar apne aap se
Jungle ya baagan me lage vruksha ko kya itna pyaar kabhi milta hai ?
Zaroor garv hota hoga usko
Ki wah logo ko khush kar paata hai hado me reh kar bhi
Kisi ki muskaan ki wajah hai wo...
Apne ghum bhula kar bhi 😊
- Ameya Kanade
No comments:
Post a Comment